Dec 25, 2017

Backlinks क्या है ? Blog के लिए Backlinks कैसे बनाये ?


Backlink Kya hai Aur SEO me Backlinks ki Kya Importance hai 
(What's Importance of Backlinks in SEO)

Dosto Backlinks Bahut hi Jarruri hain Search Engine Optimization ke liye.Agar Aap bhi Apne Blog ko Search Engine Friendly Banana Chahte ho to Aapko Backlinks ka Pura Dhayan rakhna hoga.Dosto Agar Aap Ek Blogger hai to Aapko Search Engine Optimization ke Sabhi Steps ko Follow Karna Padega Kyuki Dosto Ab Blogging Field me Bahut Log Aa Gaye hai Aur in Bloggers me Dhire-2 Log Seo ke Baare me bhi Janne lage hain,Ish Time Blogging me Kaphi Jyada Competition hai.To Chalo Dosto Ab Mai Aapko Backlinks ke Baare me Vistaar se Batata hu.
Backlinks kya hai Aur Blog ke liye Backlinks kaise jarruri hai

Backlinks Kya hai
Jab Hum Article Likhte Time Kisi Dusri Site ka Link Apni Post me Dete hain,Ya Phir Hamari Site ki Post ka link Koi Dusri Site Apne Article me Add karti hain to Yeh Backlinks Kehlata hai,Yeh Bahut hi Important hain Iski Vajah se bhi Hamare Blog ki Post Search Engine me Aane Lagti hai,Aur Hamare blog par Readers Increase Hone Lagte hain.

Backlinks Kitne Types ke Hote hai
Vaise to Links Bahut Types ke Hote hai par Mai Ish Post me Important Links ke Baare me Baat karta hu

1.External Links:-Jaise ki Name se hi pata lag raha hain Ye Links kisi Dusri site ke hote hai.Jab Humari sites ka link Dusra Blogger Apne Blog me use karta hain Ya phir Kisi dusre Blog ki kisi post ka link hum apne Blog ki post me Use karte hain to yeh External Links Kehlata hai.

2.Internal Links:-Jab Hum Apne Blog ki Dusri Post ka link New Post me Add karte hai to Yeh Internal Links Kehlate hain.

3.Low Quality Links:-Jab Kisi Galat Site se Ya phir Niche se Alag Site se traffic Aata hai to Yeh Low Quality Links Kehlata hain.

4.Do Follow Link:-Yeh Links Search engine ko Allow karte hai Ish Link ko Follow karne ke liye,Agar Simple Language me Bolu to Yeh Vo link hote hai jinme hum Search Engine ko Batate hai ki Yeh link humne Follow kiye hain

5.No Follow Link:-Yeh vo links hote hai Jinko hum Search engine ko follow karne ke liye allow nahi karte hai,Yani Search Engine se in links ko hum chupate hai,Isme hum Bots ko Allow nahi karte ki vo hamare link ko follow karey

Backlinks ke Kya Fayde hai
Backlinks Kisi bhi Website ke liye bahut hi jarruri hain,Har Blogger Apne Blog ke liye Backlinks Paana Chahta hai Kyuki Iski Vajah se Search Engine me Reputation  Banti hain,Jab Apki Site ka links kisi Dusri Sites par hoga to Ush Site par Se bhi Traffic Apki Site par Aayega In Links ki Vajah se Jiski Vajah se Apki Site se Jyada se Jyada Readers Connect honge.
1.Backlinks ke Jyada hone Se Search engine me Reputation Increase hoti hain.
2.Iski Vajah se Hamari Site par Traffic bhi Increase hota hain.
3.Iski Vajah se Hamare Blog ki post Search Engine me Bahut Jaldi Index hoti hain
4.Iski Vajah se Dusri Sites se Aapko Valuable Traffic Milega.Par Aapko Yeh Baat Dhyaan rakhni hogi,Aap Ushi Site ka Backlink Prapt karey Jo Apke Blog ke Topic ke Similar ho,Jaise Agar Apki Site Technology Based hai to Aapko Ushi Site se Backlink Prapt karne ki Koshish karni Chahiye jo Technology based ho,Tabhi Aapki Site ki Health ke liye Beneficial hoga.
5.Backlinks ki vajah se Apki Site ki Alexa Rank bhi bahut Teji se Increase hogi.

Dosto Aaj ke Article me Maine Apko Bataya ki Backlink Kya hai Aur SEO me Backlinks ki Kya Importance hai (What's Importance of Backlinks in SEO) , Ummid hain dosto Aap Sabhi ko Aaj ka ye Article Achha laga hoga ,Agar Apko Ish Trick jo Use Karne Me koi Problem Aa Rahi Hai to Aap Niche Comment Karey Main Apki Problem Solve karne ki Full Koshish karunga Agar Apko Yeh Article Achha Laga ho to Isko Apne Dosto ke Bhi Sath Facebook,Twitter,Linkedin etc. Social Site par Bhi Share Karey.


Previous Post
Next Post

post written by:

0 comments: